Posts

Daddy Dearest :)

so its been a while since i've been in here.. but occasion calls.. :) this yr is a celebration for papa and herez one for him..  sixty welcomes you, take a seat you walked all the way, such a wonderful feat *claps* lemme tell you of what i know in words few, nice n neat late to bed, early to rise, dad u've grown old n wise its a celebration today, so we'll behave pakka  promise i'll play nice *wink wink* wisdom n Wisden, Coffee n Cricket,  scores of runs u've made, wicket to wicket words flow as i think of you, for u show like a firefly amidst a thicket you greet mornings, you bid nights adieu when do u catch a wink dad? we ain't got a clue remember the days of yore when we felt like life was a bore you cracked up a wise joke n then it became a folklore :p at times we bugged you to no end times, you felt we needed a mend you made a noise that sounded like a thunder after which we didnt have a ear to lend u love to listen, less to talk u can't live wi...

Daddi ho toh aisi

Kehne ko daddi, lekin saheli, daddi ho toh aisi suniye aap, suno sab daddi meri yeh hai kaisi daddi aap se jaane naye bhagwan aapke haath khaye naye pakwaan aapke woh anokhe fundays aapke bina boring sundays aapke bhagwan ke bhale bhale lok unko patane aap kehte sadiyon purane shlok adhure aapke bina har tyavhar seekhe aapse saare reet vyavhar rishte nibhaane me aap sabse aage par pata nahi, mere ideas se aap dur dur kyun bhaage aap na khaaye lassun ande pyaaz aapke rasoi ke formulae, mere liye ek gehra raaz dekhte aap SUN Tv ke saare tragedy par banaye rakkhe aap ghar mein comedy aap mil jaaye google talk me mujhe online aapke tarkeeb rakkhe ghar me sabko inline aapke ghar mein hum kabhi na ho mehmaan aapko pataana mere liye bohot aasaan kahun mein aapse, mein aapke puliyodharai ki sabse badi fan aapke chakrapongal mein hai meri jaan kabhi kabhi yeh mujhe bulati hai 'fool' par daddi yeh meri hai badi 'cool'

Thoughts overflowed!!

Mothers, daughters, sisters and friends persistently adapting to worldly trends We are the grace, we have the gaze to the opposite sex, our mind is a maze We have the skills, the look that kills enjoy the luxury, make them pay the bills Our smile is a talent, in life we are gallant but for the most mundane things, tears are prevalent cherish this day, together we say to all of you out there, have a happy women's day! har roz ek nayi jung, har baar ek nayi koshish samjhne samjhaane ki, vahi purani saazish aaye the aapke dar kuch vakt bitaane ab dekho, hue ham nakaam us vakt ko ghatane karte khudse vaade ki, ab chalenge, tab chalenge sabr kar ai bezubaan, ye shaam ke saaye jald dhalenge par rokle hume kabhi kisi ki mann ki pukaar ya ho jaaye jhat se kisi ko bukhaar kabhi pad jaaye beech me mere mann ka mail ya hogaya ho cancel meri subah ki rail phir padhi khabar ki ye toh tha hona ab bhoj hai bohot saare savalon ka dhona kab tu pakayegi khana? kab maanjegi saare bartan? ho jaye yeh ...

Passing thoughts..

Image
(in reply to bevda arjun ;)) lagi hai mere tanhayi par unki nazar nafrat ke baadal rahe the guzar ab dard hi humara rishta hai aur dard hi usme marham bhi baant kar jo dard ghata tanhayi hai ab mera mita saathi bana woh humsafar jaise baraf pe aag ka hua asar hawayein apna ruk badle patthar bhi aaj hai pighle ek hue humare zakhm ek hua hamare manzil aag thi nafrat ki, chingaari thi pyar ki ab nafrat nahi, pyar nahi sirf dard hai, aansun hai aur rishton ko khone ka darr rishte hote hai kaanch ke par kaanch tute toh bahe khoon ab zakhm unhe milega, haath unka katega jinke saazis hue ab junoon yeh ishq nahi aasaan bas itna samajh lijiye is aag me jalne ki jald baazi na kijiye is me nafrat hai, jalan hai pagalpan hai, aur kahin na kahin pyar bhi is me nok-jhok hai, taak-jhank hai bichadna hai, aur kahin na kahin milna bhi jaan lene ki baat karein, par kisiko aapki jaan lene na de aapki nafrat ko jaan kar bhi aap ke liye jaan de bhi de yeh ishq nahi aasaan bas itna samajh lijiye jalti aag m...

Meri Kitab!

muddat baad aaya yeh aalam phir man kiya ki pannon ko bhar dun zindagi meri kitab hai aur kitabon me hi meri zindagi har ek panne par likhna zaruri nahi har ek kahani ko nichodna zaruri nahi kabhi bas kahani ko jee lo tum us ehsaas ko kisi panne me utaarna mumkin nahi rang kayi hai pannon ke aur syahi ke bhi inme, inse, likkhe kayi rang ke kisse bhi duniya ke bhi kayi rang, tum farq na karo inme kabhi ke yeh kisse shabdon me na bayan honge kabhi yeh kitab aisi, jiske panne na khatm honge iske tajurbon se seekhe kayi sabak honge jiske kishton me samette kayi rishte honge jo khud jalen ke yun dil roshan honge iski surkhiyon pe bhi dhyaan de do kahin koi dabi raaz nikal aaye ya woh yaadein, jo bhul chuke ho tum koi purane rishte ke naya pehlu dikha jaye khushi ke palon me piche mod ke na dekha karo mushkilon me pichle sabak yaad kar liya karo kitab hai yeh andhe aur anpadhon ke liye bhi isse har makam par salah-mashavra kiya karo duniya ko khitabon me dekhne walon kabhi kitabon par bhi na...

woh rehne wali chand ki.. ;)

Lone Night (Bevda Arjun ;) ) lagi thi mere tanhayi par unki nazar banne lage the mere reh-guzar irade the umr bhar ka saath chaha unke pyar ke saugaat taqdeer kaho ya koi ranjish jaise kayanat kari ho koi saazish wallah se jaise maangi ho dua ussi shiddat se zindagi ne ki ghaath jinme zindagi se mili thi panaah ab hua unhe mera har khayal gunaah bheed me bhi akela kiye tanhai ko sahara diye saaya bhi na dikhe ab taare bhi chod jaye nab dard apni hadein laange andhere se jab marham maange raaston ko dhund ne chale hai manzil vaaston me jo hua khalipan shaamil tute vaadon ka guldasta liye haath me chalte chale kisi veeran jungal me ab na manzil ki umeed hai, na sahare ki, bas aas hai unke us pal me zindagi jeene ki The White Angel.. (Arjun --> Arohi) utari ho zameen par phir woh mere khalayon ki pari jaise bedaag chand, apne badalon mein ghiri! chale aa rahi thi jaise mujpar aazmane apni jadugari aankhon me kajal, kaanon me baali aaj thi woh mehbooba meri! diya maine apna haath dekhun...

Phir woh mere khwab mein aaya...

pehli baar jab maine usse apni godh me liya tha laga jaise ye jannat se aaya koi behrupiya tha dekha palken utha ke prashn-bhari aankhon se 'toh aap bhi chale aaye aaj milne mujh se!' par kuch hi kshan me vo apne khayalon mein laut chala ke jaise soch raha ho 'kya inse manoranjan hoga bhala?' mein bolun, to meri aavaz usse kheenche jaise koi bhoola hua khwab phir usne seenche pal bhar me khel, pal bhar me hasi pal bhar ka ho bhram, pal bhar me udasi har pal ek nayi koshish, har baar ek nayi harkat man me jaise laakhon chahat, har pal liye ek naye karvat masti-khor ka khitab tha paya, dekhte hi dekhte phir buni maya, khushiyan thi jis pal se vo aaya sab ke khayalon me tha vo chaaya adharon par aadhi muskaan, jaise ham par hua tha vo meharban par soch liya tha usne aaj, ek muskaan ke liye karega pareshan apni aankhon se batiyaye koi nayi masti jinko kabhi na sujhti koi susti har baar jiske jaal mein phasti, jag mein, jug mein, kahin na dekhi ho aisi hasti jiski us pehli m...