Passing thoughts..

(in reply to bevda arjun ;))
lagi hai mere tanhayi par unki nazar
nafrat ke baadal rahe the guzar
ab dard hi humara rishta hai
aur dard hi usme marham bhi

baant kar jo dard ghata
tanhayi hai ab mera mita
saathi bana woh humsafar
jaise baraf pe aag ka hua asar

hawayein apna ruk badle
patthar bhi aaj hai pighle
ek hue humare zakhm
ek hua hamare manzil

aag thi nafrat ki, chingaari thi pyar ki
ab nafrat nahi, pyar nahi
sirf dard hai, aansun hai
aur rishton ko khone ka darr

rishte hote hai kaanch ke
par kaanch tute toh bahe khoon
ab zakhm unhe milega, haath unka katega
jinke saazis hue ab junoon

yeh ishq nahi aasaan
bas itna samajh lijiye
is aag me jalne ki
jald baazi na kijiye LOL

is me nafrat hai, jalan hai
pagalpan hai, aur kahin na kahin pyar bhi
is me nok-jhok hai, taak-jhank hai
bichadna hai, aur kahin na kahin milna bhi Day Dreaming

jaan lene ki baat karein,
par kisiko aapki jaan lene na de
aapki nafrat ko jaan kar bhi
aap ke liye jaan de bhi de Wacko

yeh ishq nahi aasaan
bas itna samajh lijiye
jalti aag me kood chuke hain
ab isse jala kar hi dum lijiye Evil Smile

duniya ka sabse pyara bhai
jisse apnon ke dukh dekhi na jayi
gussa jaise jwalamukhi
par andar se rehta dukhi dukhi
swabhav jaise oon ki narmi
sardi me dejaye aag ki garmi
daddi ka ladla pota, bas
kabhi kabhi lagta hai khotta
Dad ki baat sar ankhon par
talwar se tez hai iski nazar
bheed me bhi akela ye
tanhai ko sahara diye
diler yeh, deewana bhi hai
bhaiyon ke liye jaan haazir hai
Raj jaise dulaare ka kehlaye baap
bacche sang bacche, baap re baap!!
Doston ke liye jo ladjaye sari duniya se
dosti me miljaaye saare rishte isse
Ma ke jo pure kare saare armaan
har rishte ka jisne rakkha maan
kabhi pura samandar, kabhi samandar ki leher
wo bha jaye, toh lage woh khuda ki mehr
jaise bansuri me basa pyar ka dhun
dhun jo karde man ko sunn
jis mein hai itne saare gun
wahi kehlaye, Arohi ka Arjun

Comments

Popular posts from this blog

yeh ishq nahi aasaan..

Shravan's 1st Year

U Me aur Hum