Meri Kitab!

muddat baad aaya yeh aalam
phir man kiya ki pannon ko bhar dun
zindagi meri kitab hai aur
kitabon me hi meri zindagi

har ek panne par likhna zaruri nahi
har ek kahani ko nichodna zaruri nahi
kabhi bas kahani ko jee lo tum
us ehsaas ko kisi panne me utaarna mumkin nahi

rang kayi hai pannon ke aur syahi ke bhi
inme, inse, likkhe kayi rang ke kisse bhi
duniya ke bhi kayi rang, tum farq na karo inme kabhi
ke yeh kisse shabdon me na bayan honge kabhi

yeh kitab aisi, jiske panne na khatm honge
iske tajurbon se seekhe kayi sabak honge
jiske kishton me samette kayi rishte honge
jo khud jalen ke yun dil roshan honge

iski surkhiyon pe bhi dhyaan de do
kahin koi dabi raaz nikal aaye
ya woh yaadein, jo bhul chuke ho tum
koi purane rishte ke naya pehlu dikha jaye

khushi ke palon me piche mod ke na dekha karo
mushkilon me pichle sabak yaad kar liya karo
kitab hai yeh andhe aur anpadhon ke liye bhi
isse har makam par salah-mashavra kiya karo

duniya ko khitabon me dekhne walon
kabhi kitabon par bhi nazar pherlo
zindagi ko khitab se khitab na jiyo
kabhi zindagi par bhi nazar pherlo

zindagi meri kitab hai aur
kitabon me hi meri zindagi
zindagi ki kitab hai yeh
jisne padha woh khud ek khitab hai

Comments

Popular posts from this blog

yeh ishq nahi aasaan..

Shravan's 1st Year

U Me aur Hum