Daddi ho toh aisi

Kehne ko daddi, lekin saheli,
daddi ho toh aisi

suniye aap, suno sab
daddi meri yeh hai kaisi

daddi aap se jaane naye bhagwan
aapke haath khaye naye pakwaan

aapke woh anokhe fundays
aapke bina boring sundays

aapke bhagwan ke bhale bhale lok
unko patane aap kehte sadiyon purane shlok

adhure aapke bina har tyavhar
seekhe aapse saare reet vyavhar

rishte nibhaane me aap sabse aage
par pata nahi, mere ideas se aap dur dur kyun bhaage

aap na khaaye lassun ande pyaaz
aapke rasoi ke formulae, mere liye ek gehra raaz

dekhte aap SUN Tv ke saare tragedy
par banaye rakkhe aap ghar mein comedy

aap mil jaaye google talk me mujhe online
aapke tarkeeb rakkhe ghar me sabko inline

aapke ghar mein hum kabhi na ho mehmaan
aapko pataana mere liye bohot aasaan

kahun mein aapse, mein aapke puliyodharai ki sabse badi fan
aapke chakrapongal mein hai meri jaan

kabhi kabhi yeh mujhe bulati hai 'fool'
par daddi yeh meri hai badi 'cool'

Comments

sun_tara_jan said…
hey will never forget the moment you read the poem, everyone laughed
and the occasion become more fun, was very light and enjoyable.., keep it up... :)

Popular posts from this blog

yeh ishq nahi aasaan..

Shravan's 1st Year

U Me aur Hum