Posts

Showing posts from March, 2011

Daddi ho toh aisi

Kehne ko daddi, lekin saheli, daddi ho toh aisi suniye aap, suno sab daddi meri yeh hai kaisi daddi aap se jaane naye bhagwan aapke haath khaye naye pakwaan aapke woh anokhe fundays aapke bina boring sundays aapke bhagwan ke bhale bhale lok unko patane aap kehte sadiyon purane shlok adhure aapke bina har tyavhar seekhe aapse saare reet vyavhar rishte nibhaane me aap sabse aage par pata nahi, mere ideas se aap dur dur kyun bhaage aap na khaaye lassun ande pyaaz aapke rasoi ke formulae, mere liye ek gehra raaz dekhte aap SUN Tv ke saare tragedy par banaye rakkhe aap ghar mein comedy aap mil jaaye google talk me mujhe online aapke tarkeeb rakkhe ghar me sabko inline aapke ghar mein hum kabhi na ho mehmaan aapko pataana mere liye bohot aasaan kahun mein aapse, mein aapke puliyodharai ki sabse badi fan aapke chakrapongal mein hai meri jaan kabhi kabhi yeh mujhe bulati hai 'fool' par daddi yeh meri hai badi 'cool'

Thoughts overflowed!!

Mothers, daughters, sisters and friends persistently adapting to worldly trends We are the grace, we have the gaze to the opposite sex, our mind is a maze We have the skills, the look that kills enjoy the luxury, make them pay the bills Our smile is a talent, in life we are gallant but for the most mundane things, tears are prevalent cherish this day, together we say to all of you out there, have a happy women's day! har roz ek nayi jung, har baar ek nayi koshish samjhne samjhaane ki, vahi purani saazish aaye the aapke dar kuch vakt bitaane ab dekho, hue ham nakaam us vakt ko ghatane karte khudse vaade ki, ab chalenge, tab chalenge sabr kar ai bezubaan, ye shaam ke saaye jald dhalenge par rokle hume kabhi kisi ki mann ki pukaar ya ho jaaye jhat se kisi ko bukhaar kabhi pad jaaye beech me mere mann ka mail ya hogaya ho cancel meri subah ki rail phir padhi khabar ki ye toh tha hona ab bhoj hai bohot saare savalon ka dhona kab tu pakayegi khana? kab maanjegi saare bartan? ho jaye yeh