Posts

Showing posts from February, 2011

Passing thoughts..

Image
(in reply to bevda arjun ;)) lagi hai mere tanhayi par unki nazar nafrat ke baadal rahe the guzar ab dard hi humara rishta hai aur dard hi usme marham bhi baant kar jo dard ghata tanhayi hai ab mera mita saathi bana woh humsafar jaise baraf pe aag ka hua asar hawayein apna ruk badle patthar bhi aaj hai pighle ek hue humare zakhm ek hua hamare manzil aag thi nafrat ki, chingaari thi pyar ki ab nafrat nahi, pyar nahi sirf dard hai, aansun hai aur rishton ko khone ka darr rishte hote hai kaanch ke par kaanch tute toh bahe khoon ab zakhm unhe milega, haath unka katega jinke saazis hue ab junoon yeh ishq nahi aasaan bas itna samajh lijiye is aag me jalne ki jald baazi na kijiye is me nafrat hai, jalan hai pagalpan hai, aur kahin na kahin pyar bhi is me nok-jhok hai, taak-jhank hai bichadna hai, aur kahin na kahin milna bhi jaan lene ki baat karein, par kisiko aapki jaan lene na de aapki nafrat ko jaan kar bhi aap ke liye jaan de bhi de yeh ishq nahi aasaan bas itna samajh lijiye jalti aag m

Meri Kitab!

muddat baad aaya yeh aalam phir man kiya ki pannon ko bhar dun zindagi meri kitab hai aur kitabon me hi meri zindagi har ek panne par likhna zaruri nahi har ek kahani ko nichodna zaruri nahi kabhi bas kahani ko jee lo tum us ehsaas ko kisi panne me utaarna mumkin nahi rang kayi hai pannon ke aur syahi ke bhi inme, inse, likkhe kayi rang ke kisse bhi duniya ke bhi kayi rang, tum farq na karo inme kabhi ke yeh kisse shabdon me na bayan honge kabhi yeh kitab aisi, jiske panne na khatm honge iske tajurbon se seekhe kayi sabak honge jiske kishton me samette kayi rishte honge jo khud jalen ke yun dil roshan honge iski surkhiyon pe bhi dhyaan de do kahin koi dabi raaz nikal aaye ya woh yaadein, jo bhul chuke ho tum koi purane rishte ke naya pehlu dikha jaye khushi ke palon me piche mod ke na dekha karo mushkilon me pichle sabak yaad kar liya karo kitab hai yeh andhe aur anpadhon ke liye bhi isse har makam par salah-mashavra kiya karo duniya ko khitabon me dekhne walon kabhi kitabon par bhi na

woh rehne wali chand ki.. ;)

Lone Night (Bevda Arjun ;) ) lagi thi mere tanhayi par unki nazar banne lage the mere reh-guzar irade the umr bhar ka saath chaha unke pyar ke saugaat taqdeer kaho ya koi ranjish jaise kayanat kari ho koi saazish wallah se jaise maangi ho dua ussi shiddat se zindagi ne ki ghaath jinme zindagi se mili thi panaah ab hua unhe mera har khayal gunaah bheed me bhi akela kiye tanhai ko sahara diye saaya bhi na dikhe ab taare bhi chod jaye nab dard apni hadein laange andhere se jab marham maange raaston ko dhund ne chale hai manzil vaaston me jo hua khalipan shaamil tute vaadon ka guldasta liye haath me chalte chale kisi veeran jungal me ab na manzil ki umeed hai, na sahare ki, bas aas hai unke us pal me zindagi jeene ki The White Angel.. (Arjun --> Arohi) utari ho zameen par phir woh mere khalayon ki pari jaise bedaag chand, apne badalon mein ghiri! chale aa rahi thi jaise mujpar aazmane apni jadugari aankhon me kajal, kaanon me baali aaj thi woh mehbooba meri! diya maine apna haath dekhun

Phir woh mere khwab mein aaya...

pehli baar jab maine usse apni godh me liya tha laga jaise ye jannat se aaya koi behrupiya tha dekha palken utha ke prashn-bhari aankhon se 'toh aap bhi chale aaye aaj milne mujh se!' par kuch hi kshan me vo apne khayalon mein laut chala ke jaise soch raha ho 'kya inse manoranjan hoga bhala?' mein bolun, to meri aavaz usse kheenche jaise koi bhoola hua khwab phir usne seenche pal bhar me khel, pal bhar me hasi pal bhar ka ho bhram, pal bhar me udasi har pal ek nayi koshish, har baar ek nayi harkat man me jaise laakhon chahat, har pal liye ek naye karvat masti-khor ka khitab tha paya, dekhte hi dekhte phir buni maya, khushiyan thi jis pal se vo aaya sab ke khayalon me tha vo chaaya adharon par aadhi muskaan, jaise ham par hua tha vo meharban par soch liya tha usne aaj, ek muskaan ke liye karega pareshan apni aankhon se batiyaye koi nayi masti jinko kabhi na sujhti koi susti har baar jiske jaal mein phasti, jag mein, jug mein, kahin na dekhi ho aisi hasti jiski us pehli m

Kabhi Kabhi..

Some of the best lines ever written: Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hain Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi. Yeh ranj-o-gham ki siyahi jo dil pe chhayi hain Teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi. Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hain Ki tu nahin, tera gham, teri justjoo bhi nahin. Guzar rahi hain kuchh iss tarah zindagi jaise, isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin. Na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag Bhatak rahin hai andheron main zindagi meri. Inhi andheron main reh jaoonga kabhi kho kar Main janta hoon meri hum-nafas, magar yoonhi Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai. Aur ab baari hai mere dil ke khayal sun ne ki.. TARANA aaj humne phir vo tarana sunaya jiska kabhi kisi ne fasana banaya shaayad usse ek yaad juda tha shaayad usme koi ehsaas chupa tha ya bas uski dhun se unhe lagaav tha ya pasand tha unhe uske lafzo ka bahaav tha baar baar sun ke bhi na jee unka bhara tha baar baar gaa kar bhi gala na hamar

Mera Sabse Purana Dost...;)

Image
woh mera dost hai jo har pal har din mere saath hai uski adayen aisi ke har koi kahe ki us mein kuch baat hai uske kayi dost hai par woh sirf mera humraaz rahega woh ek musaafir hai par jab mein chalun, toh mere saath chalega usme koi aag hai jo har pal mujhe thandak dekar kahega usme koi daag hai par woh mujhe hamesha bedaag dikhlaayega kabhi adhura kabhi pura par jab mein usse dekhun, woh sirf mujhe dekhta hai woh din mein sota hai, raat mein jaagta hai par surya ke kiranon me khud ko sekta hai main jahan bhi rahun, woh mera humkadam rahega main jo bhi karun, woh mera wafadar rahega mere har paighaam ko apne saath liye chalega mere har koshish ka nispaksh gawah banega woh na dikhe, to usse dhoondhe meri aankhen woh na rahe, to andhera har taraf se jhaanken mein ruth jaon, toh woh masti se mujhe ched jaaye mein muskuradun, toh khushi se woh chamak jaaye jisse mera purana rishta woh mera apna farishta mujhme jo hai jisme mein hun woh mera chaand hai jo mera dost hai

Nafrat aur Jung..

Nafrat aur jung mein sab jaayaz hai.. pyar toh beech mein hai bhi nahi.. disclaimer: all who wish to have a fun time.. only the first two are for u.. :) kabhi dilon ke faansle itne kam the ke jaise humare thoughts skype ho jate aajkal faansle kuch aise hogaye hai ki thoughts ko GPS bhi nahi mila pate aap ke intezaar mein hum apni neend gava baithe the hume kya khabar thi, aap kisi aur ki neend ko hava diye baitha the aap pe aitbaar karke, hum andhere raaste chalte gaye aap bhatke raaste, aur hum aapke piche piche chalte gaye bhool na thi hamari ki aapse dil lagaya khata yeh hui ki aapse dil chuda na sake bhool na thi hamari ki humne wafa ki aapse khata yeh hui ki aapse apni wafa chuda na sake bhool na thi hamari ki aapko na bhool paye koshish hai hamari ki bhool se bhi yaad na kar sake bhool na thi aapki ke is dil ne zakhm khaye zakhm toh woh tha ki aap marham bhi na laga sake bhool na thi hamari ki maaf na kiya aapko maafi toh tab hogi, jo aap khud ko maaf kar sake bhool na thi a

Pal..

Weekend is here and I am back.. yeh january to yaar jaise dar ke bhaag gaya.. woh humse waqt ka hisaab maangte hain aur hum waqt se uska hisaab maangte hain.. ek pal me pyar, ek pal ka tha ikraar us pal pe hai jaan-nisaar jis pal se hai pyar, us pal se ham bekarar ab us kal ka hai intezaar pal do pal ke is pyar pe, zindagi bhar ka aitbaar aitbaar bhi vo itni tez, jaise koi talvaar ki dhaar pal do pal ke ehsaas vo, har pal bajaye dil me taar taar me sajhi dhun hai khub, ab lagti mein khud kalakaar ek pal wo pal dobara aaye, phir dil ka lute karaar ek naya pal, ek nayi dhun, jis pal hua pyar beshumaar adhure the hum, poora kiya aapne sune panne the hum, in par mithe bol likkhe aapne sannate me chal rahe the hum, pyar ka dhun sikhaaya aapne aap par marte the hum, hum ko mara bhi toh aapne abhi toh sulaah hua tha, abhi toh bhule the ghum abhi to woh chale the, unke peeche aankhen nam abhi unke judaai ka lamha na guzra tha, ke humare ranjishon ne sunaya naya dhun ae zindagi, kaisi yeh dushm

Welcome February!

zindagi ki har leher ek nayi manzil de jaati hai mann ka har karvat ek nayi disha dikha jati hai magar kambakth manzil bhi hum hai, raaste bhi hum hai raaston mein chubte kaante bhi hum hai.. tum se lad kar, tum se akad kar tum se haar kar bhi, tumhi se jeeti (win) hun tum ko khone ki har mumkin koshish tum ko door kar ke tumhi se jeeti (live) hun tumhe chot de kar, tumhe rulakar dard ke aansoon tanhayi mein peeti hun nafrat mein bhi dosti nibha kar, khud se chupkar tumse aur sirf tumhi se pyar karti hun woh dua hi kya jo unki fariyaad na ho woh chaanv hi kya jo dhoop ke baad na ho woh garmi hi kya jo sardi ki raahat na ho woh dil hi kya jisme kabhi koi chaahat na ho woh deedar hi kya jisme unki muskuraahat na ho woh zindagi hi kya jisme ishq ki aahat na ho woh ishq hi kya jisme yaadein na ho.. woh yaadein hi kya jinme tum na ho.. woh tum hi kya jinme hum na ho... manzil se na dare hum hai raaston se na thake hum hai shikaayat hai to bas is baat se ke kuch raaston ke manzil ghum hai ri