woh rehne wali chand ki.. ;)

Lone Night (Bevda Arjun ;))

lagi thi mere tanhayi par unki nazar
banne lage the mere reh-guzar
irade the umr bhar ka saath
chaha unke pyar ke saugaat

taqdeer kaho ya koi ranjish
jaise kayanat kari ho koi saazish
wallah se jaise maangi ho dua
ussi shiddat se zindagi ne ki ghaath

jinme zindagi se mili thi panaah
ab hua unhe mera har khayal gunaah
bheed me bhi akela kiye
tanhai ko sahara diye

saaya bhi na dikhe ab
taare bhi chod jaye nab
dard apni hadein laange
andhere se jab marham maange

raaston ko dhund ne chale hai manzil
vaaston me jo hua khalipan shaamil
tute vaadon ka guldasta liye haath me
chalte chale kisi veeran jungal me

ab na manzil ki umeed hai, na sahare ki, bas
aas hai unke us pal me zindagi jeene ki

The White Angel.. (Arjun --> Arohi)

utari ho zameen par
phir woh mere khalayon ki pari
jaise bedaag chand,
apne badalon mein ghiri!

chale aa rahi thi jaise
mujpar aazmane apni jadugari
aankhon me kajal, kaanon me baali
aaj thi woh mehbooba meri!

diya maine apna haath
dekhun toh sach hai ya sapna
badhaya haat usne bhi
kahaan usse pata, mein bhi hun apna!

muskurane ke aaj bahane kayi
mere hont na dekhe vajah ki raah
bas apne aap se muskurane lage
pehlun mein khadi shezadi ki tarah

jannat ka noor, aaj mera ghuroor
chayi har taraf hai jaisa koi suroor
ab toh dil ki pyaas hai, piya
na jaaye kabhi kahin door

दोनों अंजान किस्मत के इस खेल से
दोनों अंजान एक दूजे के दिल से
वोह जो कहते हैं नफरत करते हैं
एक दूजे को अपने दिल में लिए चलते हैं
कब छटेंगे नफरत के ये बादल
कब होगी फिर प्यार की वो बारिश
क्या समझ पायेंगे अपने दिलों के रिश्ते वो
क्या कह पायेंगे, "कितनी मोहब्बत है?"

Comments

Popular posts from this blog

yeh ishq nahi aasaan..

Shravan's 1st Year

U Me aur Hum