Posts

Showing posts with the label the KMH ones

Passing thoughts..

Image
(in reply to bevda arjun ;)) lagi hai mere tanhayi par unki nazar nafrat ke baadal rahe the guzar ab dard hi humara rishta hai aur dard hi usme marham bhi baant kar jo dard ghata tanhayi hai ab mera mita saathi bana woh humsafar jaise baraf pe aag ka hua asar hawayein apna ruk badle patthar bhi aaj hai pighle ek hue humare zakhm ek hua hamare manzil aag thi nafrat ki, chingaari thi pyar ki ab nafrat nahi, pyar nahi sirf dard hai, aansun hai aur rishton ko khone ka darr rishte hote hai kaanch ke par kaanch tute toh bahe khoon ab zakhm unhe milega, haath unka katega jinke saazis hue ab junoon yeh ishq nahi aasaan bas itna samajh lijiye is aag me jalne ki jald baazi na kijiye is me nafrat hai, jalan hai pagalpan hai, aur kahin na kahin pyar bhi is me nok-jhok hai, taak-jhank hai bichadna hai, aur kahin na kahin milna bhi jaan lene ki baat karein, par kisiko aapki jaan lene na de aapki nafrat ko jaan kar bhi aap ke liye jaan de bhi de yeh ishq nahi aasaan bas itna samajh lijiye jalti aag m...

woh rehne wali chand ki.. ;)

Lone Night (Bevda Arjun ;) ) lagi thi mere tanhayi par unki nazar banne lage the mere reh-guzar irade the umr bhar ka saath chaha unke pyar ke saugaat taqdeer kaho ya koi ranjish jaise kayanat kari ho koi saazish wallah se jaise maangi ho dua ussi shiddat se zindagi ne ki ghaath jinme zindagi se mili thi panaah ab hua unhe mera har khayal gunaah bheed me bhi akela kiye tanhai ko sahara diye saaya bhi na dikhe ab taare bhi chod jaye nab dard apni hadein laange andhere se jab marham maange raaston ko dhund ne chale hai manzil vaaston me jo hua khalipan shaamil tute vaadon ka guldasta liye haath me chalte chale kisi veeran jungal me ab na manzil ki umeed hai, na sahare ki, bas aas hai unke us pal me zindagi jeene ki The White Angel.. (Arjun --> Arohi) utari ho zameen par phir woh mere khalayon ki pari jaise bedaag chand, apne badalon mein ghiri! chale aa rahi thi jaise mujpar aazmane apni jadugari aankhon me kajal, kaanon me baali aaj thi woh mehbooba meri! diya maine apna haath dekhun...

yeh ishq nahi aasaan..

"yeh ishq nahi aasaan.. bas itna samajh li jiye, aag ka dariya hai.. doob ke jaana hai".. love that dialogue in K3G.. kajol's expressions were priceless.. yaar.. yeh wk ends kyun aate hain!!?? mujhse zyaada, yeh tum logon ko lagta hoga, coz wkends mein mere shayri ka bhoot jo laut aata hai.. rofl voh aazaadi kya jinke daayre na ho, voh wkend hi kya jisme Ak ki shayri na ho.. rofl, lmao voh ishq hi kya, jis me nafrat ka kissa na ho voh mohabbat hi kya, jis mein dard ka hissa na ho voh dil hi kya, jis me jalne-jalane ki fitrat na ho voh deewangi hi kya, jis me mar-mithne ki jurrat na ho and then i discovered the hindi script in gmail: lol दिल और दिमाग का भी अजीब किस्सा है बिछढ कर भी ये एक दुसरे का हिस्सा हैं दिल के मामलों में दिमाग कमज़ोर पद जाता है दिमाग के टक्कर में दिल पर जोर पद जाता है किसे समझाएं, किसे न समझाएं, इनको क्या पढ़ी हम जियें मर्जायें वैसे तो दिमाग को समझना चाहिए, आखिर दिल तो बच्चा है!! :) season 2 going on kitni nafrat hai trak.. so ek uske liye: bina dekhe...

bas aaj itna hi..

today's KMH was very illuminating so.. very less to say therefore.. unke bakbak se jee nahi bharta unse nafrat karne ko dil nahi karta woh pehlun mein baithe the aur hum unpe zulm farmaate rahe khud nazron se door karke, unke deedar ko taras jaate rahe humse bewafai karne ki toh dil ki fitrat hai aur unse pyar karne ki toh hamari kismat hai phir unhi raahon pe chal padhe the, jinme kabhi mohabbat ke phool chadhe the ee dil-e-nadam, thoda sabr kar, yahan abhi nafrat ke kaante chaye hain.. phir aayega pyar ka mausam, phir aayega ikraar ka sama abhi toh intehaan ki ghadi hai, jee lo dard har lamha back from class.... snow storm raging out here... baraf ke cheenthe safed phool laage hai udein muh par toh jaise shool laage hai aaj kisi bhi bahane se bahar jana bhool laage hai taapmaan jaankar savdhan hona ab anukul laage hai and then i got my glasses finally.. i say finally because i had gone blind for the past 2 wks since i kinda broke mine while asleep.... ya .. i know .. AGAIN!! soon...

Hello world.

so my first blog.. when i ramble.. ppl know its a gamble.. and so they turn arnd n scramble.. some even start to mumble but their words start to jumble coz their patience has started to tumble.. hmph.. so much happens when i ramble. i am of course here for the same reason so many others are... ppl have stopped responding to my chats, buzzes, tweets, mails and calls coz they are pakao-fied by my rambles.. so i figured i should start giving them a choice of what they want to hear.. and on my part i am unhappy with the size of the audience - a couple of gud friends and some choice family whom i don't wanna lose at the expense of my hobby .. so i decided to resize it to the rest of the world and hence the title.. so ppl.. if u r so vehla that u r reduced to reading my blogs.. good luck and welcome! anyways.. why r ppl pakao-fied by my rambles u ask.. i have recently acquired a new talent to rhyme.. mostly in our very own hindi/urdu.. herez a demo: badal hai, baraf hai, sannata har tar...