Nafrat aur Jung..

Nafrat aur jung mein sab jaayaz hai.. pyar toh beech mein hai bhi nahi..
disclaimer: all who wish to have a fun time.. only the first two are for u.. :)

kabhi dilon ke faansle itne kam the
ke jaise humare thoughts skype ho jate
aajkal faansle kuch aise hogaye hai
ki thoughts ko GPS bhi nahi mila pate

aap ke intezaar mein hum apni neend gava baithe the
hume kya khabar thi, aap kisi aur ki neend ko hava diye baitha the

aap pe aitbaar karke, hum andhere raaste chalte gaye
aap bhatke raaste, aur hum aapke piche piche chalte gaye

bhool na thi hamari ki aapse dil lagaya
khata yeh hui ki aapse dil chuda na sake
bhool na thi hamari ki humne wafa ki aapse
khata yeh hui ki aapse apni wafa chuda na sake
bhool na thi hamari ki aapko na bhool paye
koshish hai hamari ki bhool se bhi yaad na kar sake
bhool na thi aapki ke is dil ne zakhm khaye
zakhm toh woh tha ki aap marham bhi na laga sake
bhool na thi hamari ki maaf na kiya aapko
maafi toh tab hogi, jo aap khud ko maaf kar sake
bhool na thi aapki ke aap humse bewafai kar gaye
bewafai toh woh tha jo apke wafaon ne ki aapse

vaadon ka guldasta le kar aaye the
ghamon ke kaante chod kar chal diye
apni wafa toh mujhe na de sake
lekin meri wafayen saath lekar chal diye

socha tha, jise dekh kar waqt ruk jaaye
uske liye main waqt ko thaam dun
lekin woh kuch is tarah ruskat hue
ki ab waqt ne hume thaam liya

jis shiddat se maine muhabbat ki thi
utni shiddat se ab nafrat nibhaaoongi
tum gavah bane the mere pyar ki unchayion ki
ab naap sakoge mere nafrat ki geherayion ko?
ek vakt tha jab maine tumhari har galti ko apnaya
ab meri har galti tumhi se shuru, aur tum hi par khatm!

Comments

Popular posts from this blog

yeh ishq nahi aasaan..

Shravan's 1st Year

U Me aur Hum