Welcome February!

zindagi ki har leher ek nayi manzil de jaati hai
mann ka har karvat ek nayi disha dikha jati hai
magar kambakth manzil bhi hum hai, raaste bhi hum hai
raaston mein chubte kaante bhi hum hai..

tum se lad kar, tum se akad kar
tum se haar kar bhi, tumhi se jeeti (win) hun
tum ko khone ki har mumkin koshish
tum ko door kar ke tumhi se jeeti (live) hun
tumhe chot de kar, tumhe rulakar
dard ke aansoon tanhayi mein peeti hun
nafrat mein bhi dosti nibha kar, khud se chupkar
tumse aur sirf tumhi se pyar karti hun

woh dua hi kya jo unki fariyaad na ho
woh chaanv hi kya jo dhoop ke baad na ho
woh garmi hi kya jo sardi ki raahat na ho
woh dil hi kya jisme kabhi koi chaahat na ho
woh deedar hi kya jisme unki muskuraahat na ho
woh zindagi hi kya jisme ishq ki aahat na ho
woh ishq hi kya jisme yaadein na ho..
woh yaadein hi kya jinme tum na ho..
woh tum hi kya jinme hum na ho...

manzil se na dare hum hai
raaston se na thake hum hai
shikaayat hai to bas is baat se
ke kuch raaston ke manzil ghum hai

rishton ke dor hain, kheenchna mana hai
kacche hai yeh raaste, par manzil har kadam shaamil hai
mazbut jaise lohe ki deewar, sahara har taraf mukammal hai
par lagte jaise kaanch ke dhale hai, tute toh ho jaye rooh ke aar-paar
gehre jaise samandar ka pani, unse bhi gehre inke daraar
paak jaise bacche ki muskaan, mit jaaye dil ka har malaal
zindagi mein utaaro toh savera karde, jaise koi jalti mashaal
diler hai yeh jaise khuli tijori, apnon se jud kar khud ko baante
tez jaise patang ki dor, jung-e-maidan mein ek duje ko kaate
aakhir rishton ke dor hain, kheenchna mana hai

Comments

Popular posts from this blog

yeh ishq nahi aasaan..

Shravan's 1st Year

U Me aur Hum