Raat Abhi Baki Hai


Came across this among some old notes from a night out i pulled once.. like so many zillion other students on the planet i had a test the next day and i had waited for the oh so auspicious moment to start studying.. - the night before!!



kaante kat jaate hain
ginti phir wahin laut aati hain
lekin na aaye laut ke wahi pal
ke dekho raat abhi baaki hai

pal se pal ka judna
pannon pe panne woh mudna
jaise waqt se hi ho rahi ho hamari baat
ke dekho raat abhi baaki hai

jaise tanha waqt pe aaye hame taras
jaane kitne uske beete baras
baithe dene uska saath
ke dekho raat abhi baaki hai

hamare saamne, humse chipkar milte hai woh do log
jab aadhi duniya ko lagti hai neend ka rog
aaj pakdenge dono ko range haath
ke dekho raat abhi baaki hai

yantra chale, uske peeche koi tantra chale
seekhe humne karmyog ke mantra bhale
aas hai pal mein doh pal ke neend ki
ki dekho raat abhi baaki hai

jab tai hai samay ka katna
toh uss pe na manao koi shok
le lo kisi ko apne saath
ki dekho raat abhi baaki hai

aaj waqt lage pani ki tarah
behti jaye, gehrai ka ko thikana nahi
tairne ka fann ab seekh hi jayen
ki dekho raat abhi baaki hai

Comments

Popular posts from this blog

yeh ishq nahi aasaan..

Shravan's 1st Year

U Me aur Hum