Phir woh mere khwab mein aaya...
pehli baar jab maine usse apni godh me liya tha
laga jaise ye jannat se aaya koi behrupiya tha
dekha palken utha ke prashn-bhari aankhon se
'toh aap bhi chale aaye aaj milne mujh se!'
par kuch hi kshan me vo apne khayalon mein laut chala
ke jaise soch raha ho 'kya inse manoranjan hoga bhala?'
mein bolun, to meri aavaz usse kheenche
jaise koi bhoola hua khwab phir usne seenche
pal bhar me khel, pal bhar me hasi
pal bhar ka ho bhram, pal bhar me udasi
har pal ek nayi koshish,
har baar ek nayi harkat
man me jaise laakhon chahat,
har pal liye ek naye karvat
masti-khor ka khitab tha paya,
dekhte hi dekhte phir buni maya,
khushiyan thi jis pal se vo aaya
sab ke khayalon me tha vo chaaya
adharon par aadhi muskaan,
jaise ham par hua tha vo meharban
par soch liya tha usne aaj, ek
muskaan ke liye karega pareshan
apni aankhon se batiyaye koi nayi masti
jinko kabhi na sujhti koi susti
har baar jiske jaal mein phasti, jag mein,
jug mein, kahin na dekhi ho aisi hasti
jiski us pehli muskaan se mein prerit
jiski har dhrashya se mein dhravit
jiski har natkhat ada pe mein mohit
vo tha pyara krishna-sanchith
Comments