yeh ishq nahi aasaan..
"yeh ishq nahi aasaan.. bas itna samajh li jiye, aag ka dariya hai.. doob ke jaana hai".. love that dialogue in K3G.. kajol's expressions were priceless..
yaar.. yeh wk ends kyun aate hain!!?? mujhse zyaada, yeh tum logon ko lagta hoga, coz wkends mein mere shayri ka bhoot jo laut aata hai.. rofl
voh aazaadi kya jinke daayre na ho, voh wkend hi kya jisme Ak ki shayri na ho.. rofl, lmao
voh ishq hi kya, jis me nafrat ka kissa na ho
voh mohabbat hi kya, jis mein dard ka hissa na ho
voh dil hi kya, jis me jalne-jalane ki fitrat na ho
voh deewangi hi kya, jis me mar-mithne ki jurrat na ho
and then i discovered the hindi script in gmail: lol
दिल और दिमाग का भी अजीब किस्सा है
बिछढ कर भी ये एक दुसरे का हिस्सा हैं
दिल के मामलों में दिमाग कमज़ोर पद जाता है
दिमाग के टक्कर में दिल पर जोर पद जाता है
किसे समझाएं, किसे न समझाएं, इनको क्या पढ़ी हम जियें मर्जायें
वैसे तो दिमाग को समझना चाहिए, आखिर दिल तो बच्चा है!! :)
season 2 going on kitni nafrat hai trak.. so ek uske liye:
bina dekhe uski tasvir bana sakta hun
bina mile uska haal bata sakta hun
meri MOHABBAT mein itni taaqat thi ki
uski aankhon ke aansoon apne aankhon se gira sakta mein
ab NAFRAT mein itna junoon hai ki
apne aankhon ke aansoon uske aankhon se gira sakta hun
lekin phir kyon uske dil ka samandar, meri aankhon me bhar aata hai
aakhir itni nafrat mein bhi kyon dil kehta hai 'Kitani Mohabbat Hai'
(thanks to IF and ML members who threw in a KMH flavor in these lines :))
season 1 one was too good.. one for that as well:
ajeeb se the woh, kabhi muskurate nahi the
muskurana sikhaya, toh ab hum pe hasne lage
jab humne toka, toh rulakar chale gaye woh
unki ada hai itni katil ke rote rote hum bhi hasne lage
Comments
Aasmano me tairkar, samundar me nachne ko ji chahta hai
Sitaron ko mutthi me bhar kar, chand ko unhi sitaron se sajane ko ji chahta h
Thodi si kirno ki mehak, jra sa hanwanwo ka teekhapan, or halki si is dharti k mithas k msale bna, unhe chakh lene ko ji chahta hai
Bas kabhi kabhi sapno ki duniya me jine ko ji chahta hai
Chhup kar logon k dilo me, apni palkon ki muskaan rakhne ko ji chahta hai
Kabhi bundon k karwaton se badlon me padi salwate htane ko ji chahta hai
Kuchh ajib, kuch garib or thodi ameer si mai
To kabhi kabhi mujhe khud ko bhi chumne ko ji chahta hai
Bas kabhi kabhi apne hi sapne me jine ko ji chahta hai
Parindo se leepatkar unhe gudgudane ko, to kabhi khili dopher me dhup ko barf se bhigone ko ji chahta hai
Bas dub kar kisi chirag me, kisi bujhte diye ko phir se hasane ko ji chahta hai
Bas kabhi kabhi sapno ki duniya me jine ko ji chahta hai
Kabhi aaine ko uska akss hanwanwo me dikhane ka, to kabhi hanwanwo ko aaine me kaid kar un hanwanwo k akss ko aaine me dekhne ko ji chahta hai
Kabhi khushboo ko sanson me bhar lene ko, to kabhi sanso ko phoolon me bikherne ko ji chahta hai
Kabhi rango k rang chura kar pani me chupane ko, to kabhi pani ki saadgi rango ko de dene ko ji chahta hai
Hamesha to nhi, bas kabhi kabhi sapno ki duniya me jine ko ji chahta hai.