Kabhi Kabhi..

Some of the best lines ever written:
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hain
Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne pati
to shadab ho bhi sakti thi.

Yeh ranj-o-gham ki siyahi jo dil pe chhayi hain
Teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi.

Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hain
Ki tu nahin, tera gham, teri justjoo bhi nahin.

Guzar rahi hain kuchh iss tarah zindagi jaise,
isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin.

Na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag
Bhatak rahin hai andheron main zindagi meri.

Inhi andheron main reh jaoonga kabhi kho kar
Main janta hoon meri hum-nafas, magar yoonhi
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai.

Aur ab baari hai mere dil ke khayal sun ne ki..

TARANA
aaj humne phir vo tarana sunaya
jiska kabhi kisi ne fasana banaya
shaayad usse ek yaad juda tha
shaayad usme koi ehsaas chupa tha
ya bas uski dhun se unhe lagaav tha
ya pasand tha unhe uske lafzo ka bahaav tha
baar baar sun ke bhi na jee unka bhara tha
baar baar gaa kar bhi gala na hamara thaka tha
vo ek tarana tha, jo hamare beech ka dor bana tha

VIRAAN DIL
aaj mein ek raaste chalne lagi
shaayad ye ghar ki taraf jata hai
koi pehchani jagah thi
jaise koi anjana yaad aata hai

phir man mein aaya ek naya khayal
dimaag ne dil se kiya sawaal
ke kahin tu hua na kangaal
ya koi tujh mein me hai malaal

shaayad tu naraaz hai, ya kisi se gussa
shaayad tu udaas hai, ya kisi jurm ka hissa
phir dil se jawab aaya, ki darasal voh aaj viraan hai
aur dimaag ne samjha ki dil us soonepan se pareshan hai

kaha usne apne doston se,
jo virane me koi jaan dhund rahe the
tatola un judwa aankhon ko
jo dil ki aah mein kho gaye the

ke bhar lo khud me koi yaad
maan lo isko dil ki fariyaad
mita do uska khalipan, aur
is tarah door hua dil ka chuban

KASAK
man me ek ehsaas sa jaaga hai
abhi mujhe khabar nahi kya iska naam hai
bas itna samajh lo soona sa mijaaz hai
abhi jaan na hai ki kya iska kaam hai?

kisi kone mein chipa, jaise
tai kar raha hai, ki mujhe cheda jaaye
lagta hai jaise jaagi rahun,
toh meri bechaini badhaaye

agar mein neend ko aavaz du
toh sapne bankar mujhe rulaaye
ek ajeeb sa dard juda
jise zubaan keh na paaye

kabhi lage aansun aaye toh aaye
kabhi lage vakt jaaye toh jaaye
mujhe kya ilm ke kya tha ilzaam
jaise kisi dukhi se chin gaya tha jaam

bas aaj iski yeh saazish hai
jise jatane ki yeh ek koshish hai
na samjhiye ye mere dil ki numaayish hai
bas jaan ne ki ek gehri khwaish hai

Comments

Popular posts from this blog

yeh ishq nahi aasaan..

U Me aur Hum

Thoughts overflowed!!