Posts

Showing posts from 2011

Daddy Dearest :)

so its been a while since i've been in here.. but occasion calls.. :) this yr is a celebration for papa and herez one for him..  sixty welcomes you, take a seat you walked all the way, such a wonderful feat *claps* lemme tell you of what i know in words few, nice n neat late to bed, early to rise, dad u've grown old n wise its a celebration today, so we'll behave pakka  promise i'll play nice *wink wink* wisdom n Wisden, Coffee n Cricket,  scores of runs u've made, wicket to wicket words flow as i think of you, for u show like a firefly amidst a thicket you greet mornings, you bid nights adieu when do u catch a wink dad? we ain't got a clue remember the days of yore when we felt like life was a bore you cracked up a wise joke n then it became a folklore :p at times we bugged you to no end times, you felt we needed a mend you made a noise that sounded like a thunder after which we didnt have a ear to lend u love to listen, less to talk u can't live wi...

Daddi ho toh aisi

Kehne ko daddi, lekin saheli, daddi ho toh aisi suniye aap, suno sab daddi meri yeh hai kaisi daddi aap se jaane naye bhagwan aapke haath khaye naye pakwaan aapke woh anokhe fundays aapke bina boring sundays aapke bhagwan ke bhale bhale lok unko patane aap kehte sadiyon purane shlok adhure aapke bina har tyavhar seekhe aapse saare reet vyavhar rishte nibhaane me aap sabse aage par pata nahi, mere ideas se aap dur dur kyun bhaage aap na khaaye lassun ande pyaaz aapke rasoi ke formulae, mere liye ek gehra raaz dekhte aap SUN Tv ke saare tragedy par banaye rakkhe aap ghar mein comedy aap mil jaaye google talk me mujhe online aapke tarkeeb rakkhe ghar me sabko inline aapke ghar mein hum kabhi na ho mehmaan aapko pataana mere liye bohot aasaan kahun mein aapse, mein aapke puliyodharai ki sabse badi fan aapke chakrapongal mein hai meri jaan kabhi kabhi yeh mujhe bulati hai 'fool' par daddi yeh meri hai badi 'cool'

Thoughts overflowed!!

Mothers, daughters, sisters and friends persistently adapting to worldly trends We are the grace, we have the gaze to the opposite sex, our mind is a maze We have the skills, the look that kills enjoy the luxury, make them pay the bills Our smile is a talent, in life we are gallant but for the most mundane things, tears are prevalent cherish this day, together we say to all of you out there, have a happy women's day! har roz ek nayi jung, har baar ek nayi koshish samjhne samjhaane ki, vahi purani saazish aaye the aapke dar kuch vakt bitaane ab dekho, hue ham nakaam us vakt ko ghatane karte khudse vaade ki, ab chalenge, tab chalenge sabr kar ai bezubaan, ye shaam ke saaye jald dhalenge par rokle hume kabhi kisi ki mann ki pukaar ya ho jaaye jhat se kisi ko bukhaar kabhi pad jaaye beech me mere mann ka mail ya hogaya ho cancel meri subah ki rail phir padhi khabar ki ye toh tha hona ab bhoj hai bohot saare savalon ka dhona kab tu pakayegi khana? kab maanjegi saare bartan? ho jaye yeh ...

Passing thoughts..

Image
(in reply to bevda arjun ;)) lagi hai mere tanhayi par unki nazar nafrat ke baadal rahe the guzar ab dard hi humara rishta hai aur dard hi usme marham bhi baant kar jo dard ghata tanhayi hai ab mera mita saathi bana woh humsafar jaise baraf pe aag ka hua asar hawayein apna ruk badle patthar bhi aaj hai pighle ek hue humare zakhm ek hua hamare manzil aag thi nafrat ki, chingaari thi pyar ki ab nafrat nahi, pyar nahi sirf dard hai, aansun hai aur rishton ko khone ka darr rishte hote hai kaanch ke par kaanch tute toh bahe khoon ab zakhm unhe milega, haath unka katega jinke saazis hue ab junoon yeh ishq nahi aasaan bas itna samajh lijiye is aag me jalne ki jald baazi na kijiye is me nafrat hai, jalan hai pagalpan hai, aur kahin na kahin pyar bhi is me nok-jhok hai, taak-jhank hai bichadna hai, aur kahin na kahin milna bhi jaan lene ki baat karein, par kisiko aapki jaan lene na de aapki nafrat ko jaan kar bhi aap ke liye jaan de bhi de yeh ishq nahi aasaan bas itna samajh lijiye jalti aag m...

Meri Kitab!

muddat baad aaya yeh aalam phir man kiya ki pannon ko bhar dun zindagi meri kitab hai aur kitabon me hi meri zindagi har ek panne par likhna zaruri nahi har ek kahani ko nichodna zaruri nahi kabhi bas kahani ko jee lo tum us ehsaas ko kisi panne me utaarna mumkin nahi rang kayi hai pannon ke aur syahi ke bhi inme, inse, likkhe kayi rang ke kisse bhi duniya ke bhi kayi rang, tum farq na karo inme kabhi ke yeh kisse shabdon me na bayan honge kabhi yeh kitab aisi, jiske panne na khatm honge iske tajurbon se seekhe kayi sabak honge jiske kishton me samette kayi rishte honge jo khud jalen ke yun dil roshan honge iski surkhiyon pe bhi dhyaan de do kahin koi dabi raaz nikal aaye ya woh yaadein, jo bhul chuke ho tum koi purane rishte ke naya pehlu dikha jaye khushi ke palon me piche mod ke na dekha karo mushkilon me pichle sabak yaad kar liya karo kitab hai yeh andhe aur anpadhon ke liye bhi isse har makam par salah-mashavra kiya karo duniya ko khitabon me dekhne walon kabhi kitabon par bhi na...

woh rehne wali chand ki.. ;)

Lone Night (Bevda Arjun ;) ) lagi thi mere tanhayi par unki nazar banne lage the mere reh-guzar irade the umr bhar ka saath chaha unke pyar ke saugaat taqdeer kaho ya koi ranjish jaise kayanat kari ho koi saazish wallah se jaise maangi ho dua ussi shiddat se zindagi ne ki ghaath jinme zindagi se mili thi panaah ab hua unhe mera har khayal gunaah bheed me bhi akela kiye tanhai ko sahara diye saaya bhi na dikhe ab taare bhi chod jaye nab dard apni hadein laange andhere se jab marham maange raaston ko dhund ne chale hai manzil vaaston me jo hua khalipan shaamil tute vaadon ka guldasta liye haath me chalte chale kisi veeran jungal me ab na manzil ki umeed hai, na sahare ki, bas aas hai unke us pal me zindagi jeene ki The White Angel.. (Arjun --> Arohi) utari ho zameen par phir woh mere khalayon ki pari jaise bedaag chand, apne badalon mein ghiri! chale aa rahi thi jaise mujpar aazmane apni jadugari aankhon me kajal, kaanon me baali aaj thi woh mehbooba meri! diya maine apna haath dekhun...

Phir woh mere khwab mein aaya...

pehli baar jab maine usse apni godh me liya tha laga jaise ye jannat se aaya koi behrupiya tha dekha palken utha ke prashn-bhari aankhon se 'toh aap bhi chale aaye aaj milne mujh se!' par kuch hi kshan me vo apne khayalon mein laut chala ke jaise soch raha ho 'kya inse manoranjan hoga bhala?' mein bolun, to meri aavaz usse kheenche jaise koi bhoola hua khwab phir usne seenche pal bhar me khel, pal bhar me hasi pal bhar ka ho bhram, pal bhar me udasi har pal ek nayi koshish, har baar ek nayi harkat man me jaise laakhon chahat, har pal liye ek naye karvat masti-khor ka khitab tha paya, dekhte hi dekhte phir buni maya, khushiyan thi jis pal se vo aaya sab ke khayalon me tha vo chaaya adharon par aadhi muskaan, jaise ham par hua tha vo meharban par soch liya tha usne aaj, ek muskaan ke liye karega pareshan apni aankhon se batiyaye koi nayi masti jinko kabhi na sujhti koi susti har baar jiske jaal mein phasti, jag mein, jug mein, kahin na dekhi ho aisi hasti jiski us pehli m...

Kabhi Kabhi..

Some of the best lines ever written: Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hain Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi. Yeh ranj-o-gham ki siyahi jo dil pe chhayi hain Teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi. Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hain Ki tu nahin, tera gham, teri justjoo bhi nahin. Guzar rahi hain kuchh iss tarah zindagi jaise, isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin. Na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag Bhatak rahin hai andheron main zindagi meri. Inhi andheron main reh jaoonga kabhi kho kar Main janta hoon meri hum-nafas, magar yoonhi Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai. Aur ab baari hai mere dil ke khayal sun ne ki.. TARANA aaj humne phir vo tarana sunaya jiska kabhi kisi ne fasana banaya shaayad usse ek yaad juda tha shaayad usme koi ehsaas chupa tha ya bas uski dhun se unhe lagaav tha ya pasand tha unhe uske lafzo ka bahaav tha baar baar sun ke bhi na jee unka bhara tha baar baar gaa kar bhi gala na hamar...

Mera Sabse Purana Dost...;)

Image
woh mera dost hai jo har pal har din mere saath hai uski adayen aisi ke har koi kahe ki us mein kuch baat hai uske kayi dost hai par woh sirf mera humraaz rahega woh ek musaafir hai par jab mein chalun, toh mere saath chalega usme koi aag hai jo har pal mujhe thandak dekar kahega usme koi daag hai par woh mujhe hamesha bedaag dikhlaayega kabhi adhura kabhi pura par jab mein usse dekhun, woh sirf mujhe dekhta hai woh din mein sota hai, raat mein jaagta hai par surya ke kiranon me khud ko sekta hai main jahan bhi rahun, woh mera humkadam rahega main jo bhi karun, woh mera wafadar rahega mere har paighaam ko apne saath liye chalega mere har koshish ka nispaksh gawah banega woh na dikhe, to usse dhoondhe meri aankhen woh na rahe, to andhera har taraf se jhaanken mein ruth jaon, toh woh masti se mujhe ched jaaye mein muskuradun, toh khushi se woh chamak jaaye jisse mera purana rishta woh mera apna farishta mujhme jo hai jisme mein hun woh mera chaand hai jo mera dost hai

Nafrat aur Jung..

Nafrat aur jung mein sab jaayaz hai.. pyar toh beech mein hai bhi nahi.. disclaimer: all who wish to have a fun time.. only the first two are for u.. :) kabhi dilon ke faansle itne kam the ke jaise humare thoughts skype ho jate aajkal faansle kuch aise hogaye hai ki thoughts ko GPS bhi nahi mila pate aap ke intezaar mein hum apni neend gava baithe the hume kya khabar thi, aap kisi aur ki neend ko hava diye baitha the aap pe aitbaar karke, hum andhere raaste chalte gaye aap bhatke raaste, aur hum aapke piche piche chalte gaye bhool na thi hamari ki aapse dil lagaya khata yeh hui ki aapse dil chuda na sake bhool na thi hamari ki humne wafa ki aapse khata yeh hui ki aapse apni wafa chuda na sake bhool na thi hamari ki aapko na bhool paye koshish hai hamari ki bhool se bhi yaad na kar sake bhool na thi aapki ke is dil ne zakhm khaye zakhm toh woh tha ki aap marham bhi na laga sake bhool na thi hamari ki maaf na kiya aapko maafi toh tab hogi, jo aap khud ko maaf kar sake bhool na thi a...

Pal..

Weekend is here and I am back.. yeh january to yaar jaise dar ke bhaag gaya.. woh humse waqt ka hisaab maangte hain aur hum waqt se uska hisaab maangte hain.. ek pal me pyar, ek pal ka tha ikraar us pal pe hai jaan-nisaar jis pal se hai pyar, us pal se ham bekarar ab us kal ka hai intezaar pal do pal ke is pyar pe, zindagi bhar ka aitbaar aitbaar bhi vo itni tez, jaise koi talvaar ki dhaar pal do pal ke ehsaas vo, har pal bajaye dil me taar taar me sajhi dhun hai khub, ab lagti mein khud kalakaar ek pal wo pal dobara aaye, phir dil ka lute karaar ek naya pal, ek nayi dhun, jis pal hua pyar beshumaar adhure the hum, poora kiya aapne sune panne the hum, in par mithe bol likkhe aapne sannate me chal rahe the hum, pyar ka dhun sikhaaya aapne aap par marte the hum, hum ko mara bhi toh aapne abhi toh sulaah hua tha, abhi toh bhule the ghum abhi to woh chale the, unke peeche aankhen nam abhi unke judaai ka lamha na guzra tha, ke humare ranjishon ne sunaya naya dhun ae zindagi, kaisi yeh dushm...

Welcome February!

zindagi ki har leher ek nayi manzil de jaati hai mann ka har karvat ek nayi disha dikha jati hai magar kambakth manzil bhi hum hai, raaste bhi hum hai raaston mein chubte kaante bhi hum hai.. tum se lad kar, tum se akad kar tum se haar kar bhi, tumhi se jeeti (win) hun tum ko khone ki har mumkin koshish tum ko door kar ke tumhi se jeeti (live) hun tumhe chot de kar, tumhe rulakar dard ke aansoon tanhayi mein peeti hun nafrat mein bhi dosti nibha kar, khud se chupkar tumse aur sirf tumhi se pyar karti hun woh dua hi kya jo unki fariyaad na ho woh chaanv hi kya jo dhoop ke baad na ho woh garmi hi kya jo sardi ki raahat na ho woh dil hi kya jisme kabhi koi chaahat na ho woh deedar hi kya jisme unki muskuraahat na ho woh zindagi hi kya jisme ishq ki aahat na ho woh ishq hi kya jisme yaadein na ho.. woh yaadein hi kya jinme tum na ho.. woh tum hi kya jinme hum na ho... manzil se na dare hum hai raaston se na thake hum hai shikaayat hai to bas is baat se ke kuch raaston ke manzil ghum hai ri...

yeh ishq nahi aasaan..

"yeh ishq nahi aasaan.. bas itna samajh li jiye, aag ka dariya hai.. doob ke jaana hai".. love that dialogue in K3G.. kajol's expressions were priceless.. yaar.. yeh wk ends kyun aate hain!!?? mujhse zyaada, yeh tum logon ko lagta hoga, coz wkends mein mere shayri ka bhoot jo laut aata hai.. rofl voh aazaadi kya jinke daayre na ho, voh wkend hi kya jisme Ak ki shayri na ho.. rofl, lmao voh ishq hi kya, jis me nafrat ka kissa na ho voh mohabbat hi kya, jis mein dard ka hissa na ho voh dil hi kya, jis me jalne-jalane ki fitrat na ho voh deewangi hi kya, jis me mar-mithne ki jurrat na ho and then i discovered the hindi script in gmail: lol दिल और दिमाग का भी अजीब किस्सा है बिछढ कर भी ये एक दुसरे का हिस्सा हैं दिल के मामलों में दिमाग कमज़ोर पद जाता है दिमाग के टक्कर में दिल पर जोर पद जाता है किसे समझाएं, किसे न समझाएं, इनको क्या पढ़ी हम जियें मर्जायें वैसे तो दिमाग को समझना चाहिए, आखिर दिल तो बच्चा है!! :) season 2 going on kitni nafrat hai trak.. so ek uske liye: bina dekhe...

bas aaj itna hi..

today's KMH was very illuminating so.. very less to say therefore.. unke bakbak se jee nahi bharta unse nafrat karne ko dil nahi karta woh pehlun mein baithe the aur hum unpe zulm farmaate rahe khud nazron se door karke, unke deedar ko taras jaate rahe humse bewafai karne ki toh dil ki fitrat hai aur unse pyar karne ki toh hamari kismat hai phir unhi raahon pe chal padhe the, jinme kabhi mohabbat ke phool chadhe the ee dil-e-nadam, thoda sabr kar, yahan abhi nafrat ke kaante chaye hain.. phir aayega pyar ka mausam, phir aayega ikraar ka sama abhi toh intehaan ki ghadi hai, jee lo dard har lamha back from class.... snow storm raging out here... baraf ke cheenthe safed phool laage hai udein muh par toh jaise shool laage hai aaj kisi bhi bahane se bahar jana bhool laage hai taapmaan jaankar savdhan hona ab anukul laage hai and then i got my glasses finally.. i say finally because i had gone blind for the past 2 wks since i kinda broke mine while asleep.... ya .. i know .. AGAIN!! soon...

Mohabbat aur Math

Image
so.. this sem i am taking a course on regression analysis.. and my prof started off with reviewing topics in probability and statistics which were a prereq for the course.. and as usual we had an assignment to finish for the wkend.. now u ask me why is that a topic on my blog.. so it so happens that i have two main obsessions going on in my mind rite now.. one is probability distributions.. (because i have a whole chart of them staring at me from the wall in front of me) and there is my daily soap - kitni mohabbat hai.. so when these two clashed in my mind.. i needed a vent and so here i am..   i have read ppl trying to explain love inside the laws of physics (bechare Newton, kya soch ke likha tha.. aur kya ho gaya).. so herez my mathematical mohabbat ke types: to start out.. the simplest type is defined by a bernoulli distribution.. coz either its a yes or its a no.. and we are done.. no grey shades.. no ifs and no maybes.. very straight 'N' forward.. then come...

Hello world.

so my first blog.. when i ramble.. ppl know its a gamble.. and so they turn arnd n scramble.. some even start to mumble but their words start to jumble coz their patience has started to tumble.. hmph.. so much happens when i ramble. i am of course here for the same reason so many others are... ppl have stopped responding to my chats, buzzes, tweets, mails and calls coz they are pakao-fied by my rambles.. so i figured i should start giving them a choice of what they want to hear.. and on my part i am unhappy with the size of the audience - a couple of gud friends and some choice family whom i don't wanna lose at the expense of my hobby .. so i decided to resize it to the rest of the world and hence the title.. so ppl.. if u r so vehla that u r reduced to reading my blogs.. good luck and welcome! anyways.. why r ppl pakao-fied by my rambles u ask.. i have recently acquired a new talent to rhyme.. mostly in our very own hindi/urdu.. herez a demo: badal hai, baraf hai, sannata har tar...